सोमवार, मार्च 30, 2009

Bihar Will Caste Vote ??

Bihar will caste vote . I remember the Nitish Kumar defeat in 2004 from Barh LokSabha . He lost to local Vijay Krishna ( a Rajput leader of Lalu Party -RJD ) . Nitish love development so he had gifted many things in Barh including a NTPC power station which benefitted local Bhumihars " Rajputs but in election electorate cast thier votes on thier caste . It may look strange for its not lacking full time analysis but they ignore the value of casting vote to right candidate and blindly follow the blood of caste.
But at same time caste does not matter always . Remember the elction of 1957 , when close to Sri Babu Sri Mahesh Pd Sinha lost his election to Sri Mahamaya Prasad while Muzaffarpur was considered a safe seat for any Bhumihar candidate . Above all Mahesh babu did a lot in between 1947 to 1957 for Muzaffarpur development .
Similarly , George Fernandes always became favourable candidate for Muzaffarpur Bhumihar electorate . His every win from Muzaffarpur shunted one local powerful Bhumhar leader like in 1977 he defeated Nitishwar Babu , in 1980 he defeated Digvijay Babu and in 1989 he defeated Raghunath Pandey . Its may look intresting for National Jouralist that all these leaders were never able to fight thier other eelction i.e. Political death sentence by George saheb .
Why and how people will vote for development ? Nitish and rest of electorate in Bihar feel that now kidnapping is nowhere but critics says all such criminals are indulge in Thekedari ( Civil Contracts ) , but instead of Kidnapping corruption has taken the first most place . Lalu critics always blamed Lalu for Kidnapping does it mean we should blame Nitish Kumar for corruption ?

सोमवार, जून 30, 2008

Bihar & Technical Education

Last week AICTE high level team inspected Motihari , Gaya and Darbhanga based engineering colleges for approval . I hope it will have positive report and Bihar will have a few more engineering colleges like other states .

As per AICTE data as on 31.08.2007 India is having 1668 approved Degree Engineering Colleges in which only 6 are from Bihar . Highest Engineering colleges are in Andhra Pradesh ( 319) , TamilNadu ( 268 ) , Maharastra ( 186 ) , Karnatka ( 141 ) , Uttar Pradesh ( 136 ) , Madhya Pradesh ( 104 ) .

Karnatka have had policy regarding private participation in 1950s only which resulted today many of leading Engineering Colleges are from Karnatka with qualiy education and such colleges helped Karnatka / Bangalore in skilled man power supply . Even politicaly active states like Uttar Pradesh opened its door for private participation in Engineering education only in 1998 and in last 10 years its number grew from 6 to 136 . Uttar Pradesh district Gautam Budhda Nagar ( NOIDA & Greater NOIDA ) is having a dedicated Knowledge Parks which is having more than 100 professional degree colleges . While Engineering Colleges from TamilNadu and Andhra Pradesh have thousands of Vacant seats every year due to this regional imbalance .

Many of states government have a restricted policy in Combined Entrance Examination and admissions in such private engineering colleges so only 15 % seats left for other states , for example in Uttar Pradesh 85 % seats are reserved for domicile of UP using State Entrance Examination qualified while rest 15 % are of NRI / Management .

In Such case , Bihari Students faced tough problems they need to pay a heavy amount from backdoor and much cost to parents per month OR outflowing of money from Bihar to states like Karnatka / Maharastra and Western UP .

A few private initiated engineering colleges are in Bihar but they have very poor Infrastructure and no availability of qualified teachers , No supporting Industry . For example , Bangalore / Mysore , NOIDA / GHAZIABAD and HARYANA based engineering colleges have Industrial interaction and support .

Industry and Engineerings College both need help of each other so that many India fame professional colleges are from South Bihar ( Now Jharkhand ) like XLRI - Jamshedpur , BIT Mesra , BIT Sindri , NIT - Jamshedpur .

Even In Bihar , Last 2 years we have seen the announcement and opening of profesional degree colleges like Law School , Management School , IITs , Nalanda University etc but all of them are situated in radius of 60 KM from Patna which can be also a big problem as Bihar local regional imbalance .

Bihar Government aided Engineering colleges like BCE Bhagalpur and MIT Muzaffarpur lacks teaching staffs and other exposure to students so many of them are heavily dependent on GATE exam to get seats in other states / IITs as M.Tech courses while other state same merit students directly join IT big shot or apply for US universities .

Bihar Government must come with INDUSTRY as well as TECHNICAL INSTITUTES and its not so tough . It can mark a specific land in every district as Knowledge Park and one big IT park in state capital .

शुक्रवार, जून 08, 2007

Garmee ka DIN !!!

Dilli me Bahut Garmee hai Lekin yahan ka concrete Jungle to aur garmee failata hai ! AC bhi fail hai , Mera Flat Top Floor par hai , so shaam ke 8 - 9 baje tak tapata rahata hai ! 'Pariwar' patna gaya huaa hai , so Jyada Tension nahi hai ! Beta Ram , Patna me garmee ka chhutte enJoy kar rahe hain ! Home work bahut mila hai , Bakhtiyarpur wali shikayat kar rahi thi ki , abhi tak Home work suru bhi nahi huaa hai ! aur mai Gussa hone ke bajaye , Mushkura diya ! waise hum Dil se "Bachpan bachao" aandolan ke samarthak hai ! hum bole ki kaa karega abhi se padh ke ? yahi ta umar hai khelane kudane ka , 2-4 saal ke baad ta fursat nahi milega ! Let then enJoy thier GARMEE ka CHHUTEE !

Hum Log bhi Garmee ke CHHUTTE me BABA-DADI ke paas GAON jaate the ! Maza aa jata tha ! Sabhi Gotiya / pattidaar ke Bhai bahan aa jaate the , Koi Ranchi se to koi Motihari se ! Subah subah bada wala Chauki par GANEET / HISAB banana hota tha , 2 ghanta ! Feer Naha Dho ke , agala Program !

AAM ka season hota hai ! AAM khane ka maza alag tha ! Sabhi BHAI log me COMPETITION ho jata tha kaun kitana AAM khaya ! Mera Mansinda hota tha "AAM-CHURA" ! Bhar pet kha ke , POORAB wala Room me BADA wala KHATIYA laga ke , ek DAREE bichha ke , ek Bada wala MASNAD laga ke , BAGAL me SANTOSH RADIO rakh ke , MANOHAR KAHANIYAN lekar peeth ke bal let kar Padhate the ! Maza aa jata tha ! :) KHAPADA wala GHAR hai , so thanda thanda rahata tha ! Mood huaa to KHIDAKI me KHUS laga diye aur kisi naukar chakar ko INSTRUCTION de diye ki , har ghanta Pani dete rahana !

esee beech jab mood huaa BALATI se 2-4 tho aur AAM lekar CHOOS liye , BIJJU AAM Chusane ka alag maza tha ! CALCUTIA AAM , LANGADA AAM , etc , tarah tarah ka AAM .

SHAAM huaa ta , BAGICHA me chale gaye , wahan PUMP SET chalu karwa ke , Chhota wala CHAUKI par prem se baith ke ek DUM Thanda Thanda PANI se , LUX saboon laga ke NAHATE the !

Lautate waqt GAON me hi Kisi BABA / CHACHA / BHAIYA ke "DALAAN" me ruk gaye aur wahan thoda gupp shup kiye ! Feer darwaja par laut ke DUAAR par KHATIYA lagwa ke RADIO chalu kar diye , 7.30 PM me PRADESHIK SAMACHAR aata hai ! Samachar waigarah sun ke , aaram se BHAI log se saath "29" khelane baith gaye ! "29" bhi gajab ka GAME hai !

Garmee ke DIN me , Khoob Teeta MEAT BHAAT khane ka bhi alag AANAND hai ! Jhar Jhar Paseena chu raha ho aur aap CHUSTA ko Khinch ke kha rahe hon :) ( Sorry for VEGGIE )

Raat hone par , DUAAR par KHATIYA Laga ke SONE ka AANAND ! wah ! Pura DUAAR par ek taraf se Chacha / Bhai log ka KHATIYA laga hota tha ! Jo jitana ADVANCE , oosaka DAREE aur JAJIM aur MASNAD ootana hi SAFED ! Lekin the to sabhi bhai so BARABARI me sabhi sote the ! MAUGAA type Bhaiya / Chacha type ITEM log AANGAN me sota tha ;)

Agar GAON ke SCHOOL me KOI BARAT tika huaa hai to raat me sabhi bhai log HUM LOG "NAACH" dekhane nikal jaate the ! Lekin hamesha Darr hota tha ki Koi PAHCHAN na le ! Agar Chacha se Kah diya to , Kya Hoga ?

HUM log "CHHAPARA" Zila wale bahut DHANIK nahi hote hain ! DIN me KAMAYA , RAAT me Khaya aur PREM se SOYA ! Waisa bhi Bhaiya / Chacha log hota tha jo BAGAL ke TOWN me Naukari karata tha , so agar woh wek end me Lauta to LITCHI lekar aata tha ! :)

Kabhi kabhi Mood karata hai ki Apane BETA -BETI ke saath kuchh DIN GAON me rahun ! Shayad woh log apani Sanskriti se kuchh parichay kar len ! NASEEB me likha hoga to PAISA aa hi jayega , Lekin yeh BACHPAN dubara nahi aayega !

aur kya likhen ?? GHAR ka Bahut yaad aa raha hai :(

शनिवार, मई 05, 2007

STATUS SYMBOL

Tarah Tarah ka Status SYMBOL hota hai ! Jaise aaj kal khud ka ek BLOG rakhana bhi status SYMBOL hai ! Ek Jamana tha ki GIRL FRIEND hona STATUS SYMBOL hai ! Campus Recruitment me ek nahi teen- char NAUKARI ka offer STATUS SYMBOL hai ! woh bhi kya JAMANA tha JAB NAUKARI nahi karana Status Symbol hota tha .
Pahale KHANDANI log PAN_BATTA rakhate the aur PAAN khate the ! PAAN khana Status Symbol hota tha ab ULTA hai ab PAAN KHANA DEHATI ka pahchan hai :(
Woh bhi kya jamana tha jab POLITICs hobby aur STATUS SYMBOL hota tha , ab bilkul ulta hai , POLITICAL SAMAJ ko log ganda nazar se dekhata hai . Pahale ke JAMANA me DARU peene wale ko GAON se bahar kar oosaka BOYCOTT kiya jata tha , ab ULTA hai , agar aap DARU nahi peete hain to aapako SAMAJ se BAHAR kar diya jayega !
Ek woh bhi jamana tha jab sabhi N R B ( Non resident Bihari ) har HOLI - DASH-HARA - CHHAT me gaon jaate the aur GARV ka baat hota tha , ab agar aap HOLI -DASHHARA metro me nahi manayenge to wahan ka ADVANCE BIHARI aapako dusara nazar se dekhega !


sab kuchh ULTA ho gaya hai ! ab dekhiye naya naya STATUS SYMBOL kya hai ...

1. Virtual World me presence , Kisi Yahoo group , Orkut Community , BLOG etc ka OWNER hona ..

2. Live-in Relationship ..matlab bina BIYAH kiye huye kisi LADAKA ya LADAKi ke saath Flat me rahana ...

3. INDIA ke kisi METRO me ek FLAT hona ....bhale aapako BIHAR me 2 kaththa bhi Zamin nahi ho ...

4. IT world me naukari ....bhale hi aap MAINTENANCE ka kaam kyon na karen .....

5. LOVE - MARRIAGE ... aapake khandaan me koi LOVE marriage nahi kiya hai ?? oh..tab to aap SAMAJ se bahut peechhe hain ....

6. OFFICE - SPOUSE ......DIn ke 12 ghanta to office me rahate hain so wahan ek SPOUSE hona jaruri hai jisake saath aap apane SUKH -DUKH share kar saken ....

7. CAT preparation .... Ek jamana tha jab BIHARI log UPSC ka preparation karata tha , ab sab ULTA hai ...CAT ka Preparation karana STATUS SYMBOL hai .....kuchh SAMAJH me aa raha hai MUKHIYA JEE ??? ENGLISH NOVEL padhana suru kiziye !

8. ENTREPRENEURSHIP ....kahan NAUKARI kar rahe ho ?? Bhaiya , maine to resign kar diya ab KHUD ka ek BPO khol liya hai , NOIDA me . Good !

9. NO CASTE , Pls ! TALK "CLASS" : agar aap JAAT PAAT ka baat kiziyega to LOG aapako BOYCOTT kar dega , JAAT PAAT mat kiziye , CLASS ka baat kiziye :)

10. MBA from USA : oh...aap IITian hain :) very GOOD ! MBA kiya hai ? NAHI :( ta GHANTA kiya hai ??? USA me 10 saal rahe , ek MBA ka degree le lete !!

aur bhi BAHUT STATUS SYMBOLs hain ......

JAMANA bahut BADAL gaya aur hum aaj bho oosee MOD par khade hain , jahan se JINDAGI ki shuruaat kiye the :(

मंगलवार, अप्रैल 17, 2007

ee ta INDUSTRY hai !

"ee" ta Industry hai ! ECONOMY grow karega ta sab tarah ka INDUSTRY badhega ! yehi se Bihar me bhi KIDNAPPING INDUSTRY badh raha hai ! Bhai log 15 saal lag gaya tha "ees" industry ko falane fulane me , ab "ee" kaise 1-2 saal me BANDH ho jayega ? Kitana log ko ROJGAAR mila hai ! MEDIA , MIDDLEMAN , POLICE , NETA aur PUBLIC sab log INVOLVE rahata hai ! ab "ee" INDUSTRY bandh ho jayega ta eetana log KAA karega ? ab ta 'ee' INDUSTRY , Cottage Industry ka roop le liya hai ! Bihar ke har gali - muhalla me aapako 2-4 tho KIDNAPPER mil jayega !
Hum log BACHCHA the ta sunate the ki LAKADSUNGHA aata hai , LAKADI sungha ke Kidnapp kar leta hai ! Lekin ab 'ee' process bahut aasaan ho gaya hai ! LALU raaj me Professional log KIDNAPP karata tha , NITISH raaj me UN-PROFESSIONAL log hai ! Professional KIDNAPPER log ka promotion ho gaya hai , koi MLA ban gaya hai ta koi MUKHIYA ! so Human Resources ka Problem hai ! Jaise IT industry me 2 mahina ka JAVA ka training le kar HYDERABAD ka Traffic hawaldaar bhi USA chala jata hai waisa hee kuchh KIDNAPPING INDUSTRY me bhi ho raha hai !
achcha ek aur baat , ab INSURANCE COMPANY wala KIDNAPPING ka RISK coverage karega ! heavy premium lega , aapka JAB kidnapping ho jayega tab INSURANCE officer middleman ka bhumika nibhayega ! dekhe ! Kya Bujhaya ?? ab sab kuchh systematic ho raha hai :) !
Kidnapping ka bahut fayada hai ! MEDIA me naam aa jata hai ! GALI - MUHALLA me aapaka STATUS badh jata hai ! 2-4 tho Police officer se direct relation ban jayega ! 10 saal baad bhi log aapako KIDNAPPING INCIDENT se jana pahchana karenge ! BETA-BETI ke biyah me problem nahi hoga ! LOG turant recognise kar lega , are woh to wahi hain , jinaka falana falana saal me KIDNAPPING huaa tha ( Bahut MAAL daba ke rakha hai ) !
2-4 dus saal baad RESUME me ek row hoga ki WHETHER YOU have been KIDNAPPED or NOT ! IIM ke interview me STRESS TESTING me aisa EXPERIENCE kaam aayega !
SARKAAR ko chahiye ki har gali muhalla se KIDNAPPER TALENT HUNT suru kare ! oosako bajapte COACHING ho ! How to Become PROFESSIONAL KIDNAPPER ke liye "KOTA " aur SUPER-30 ka batch suru hoga ! Jab aapaka Professional KIDNAPPER ho jayega tab PUBLIC kahega ki wah ! Bachpan se hi TALENTED tha ! AKHBAAR me Bada Bada COaching wala ka AD aayega ! " Become Professional KIDNAPER in 3 months " ! Mast JHAKAAS COuncellor hogee !
CHANDAN BOSS kah rahe the ki "Problem tab aayega , jab ARJUN SINGH jaisa aadami ees JOB me QUOTA ka demand karega " ! Hum bole " hmmmmm , Chaliye koi baat nahi 50 % ke liye Fight hoga " !
kul mila kar , LOKSABHA se BILL paas kar ke eesako TAX HOLIDAY milana chahiye !
SARKAAR , Kuchh bhi karo ! Lekin UNPROFESSIONAL KIDNAPPER se BIHAR ko BACHAO ! Kuchh bhi hai PROFESSIONAL KIDNAPPER "ees" Business ka ETHICs jaanate hain ! QUALITY Process ko samajhate hain !
Thanks !
Comments are required !

ta , HUM kah rahe the ....

ta , Hum Kah rahe the ki kuchh likhana chahiye ! CHANDAN BOSS bhi aisa bole ! Bole ki JAAT ko mat gariaayeeye ! Hum kahe BINA jaat yahan kuchh nahi hai :( , BRAHMIN , KSHATRIYA , BANIA , KAYASTHA , KURMI aur YADAV .....etc ke alawa bhi jaat hota hai , jaise IT - coolie , YAMRAAJ DOCTOR , Ghooskhor ENGINEER , MATUKNATH Teacher etc ...jaat se bach ke kahan jayeeyega :(
Ghar me Biyah shadi hota hai ta , aap dekhiye ga ki bahut sara GUEST aata hai , ab apana apana STANDARD ke hisab se apana apana CORNER aur FORUM bana lega ! ENGINEER Sahab , MASTER SAHAB se baat nahi karenge , DOctor sahab pura function me engineer sahab ko khojate firenge ! ta , Kul mila ke jaat - paat ta sab jagah hai !
ab dekhiye , IIM wala , XLRI wala ko neecha nazar se dekhata hai , XLRI wala SYMBIOSYS wala ko dusara nazar se dekhata hai , IIT wala RIT wala ko maggu samajhata hai !
Kul mila kar , jaat paat sab jagah hai :( aur hum bechain hain :(

सोमवार, अप्रैल 19, 2004

hi