शुक्रवार, जून 08, 2007

Garmee ka DIN !!!

Dilli me Bahut Garmee hai Lekin yahan ka concrete Jungle to aur garmee failata hai ! AC bhi fail hai , Mera Flat Top Floor par hai , so shaam ke 8 - 9 baje tak tapata rahata hai ! 'Pariwar' patna gaya huaa hai , so Jyada Tension nahi hai ! Beta Ram , Patna me garmee ka chhutte enJoy kar rahe hain ! Home work bahut mila hai , Bakhtiyarpur wali shikayat kar rahi thi ki , abhi tak Home work suru bhi nahi huaa hai ! aur mai Gussa hone ke bajaye , Mushkura diya ! waise hum Dil se "Bachpan bachao" aandolan ke samarthak hai ! hum bole ki kaa karega abhi se padh ke ? yahi ta umar hai khelane kudane ka , 2-4 saal ke baad ta fursat nahi milega ! Let then enJoy thier GARMEE ka CHHUTEE !

Hum Log bhi Garmee ke CHHUTTE me BABA-DADI ke paas GAON jaate the ! Maza aa jata tha ! Sabhi Gotiya / pattidaar ke Bhai bahan aa jaate the , Koi Ranchi se to koi Motihari se ! Subah subah bada wala Chauki par GANEET / HISAB banana hota tha , 2 ghanta ! Feer Naha Dho ke , agala Program !

AAM ka season hota hai ! AAM khane ka maza alag tha ! Sabhi BHAI log me COMPETITION ho jata tha kaun kitana AAM khaya ! Mera Mansinda hota tha "AAM-CHURA" ! Bhar pet kha ke , POORAB wala Room me BADA wala KHATIYA laga ke , ek DAREE bichha ke , ek Bada wala MASNAD laga ke , BAGAL me SANTOSH RADIO rakh ke , MANOHAR KAHANIYAN lekar peeth ke bal let kar Padhate the ! Maza aa jata tha ! :) KHAPADA wala GHAR hai , so thanda thanda rahata tha ! Mood huaa to KHIDAKI me KHUS laga diye aur kisi naukar chakar ko INSTRUCTION de diye ki , har ghanta Pani dete rahana !

esee beech jab mood huaa BALATI se 2-4 tho aur AAM lekar CHOOS liye , BIJJU AAM Chusane ka alag maza tha ! CALCUTIA AAM , LANGADA AAM , etc , tarah tarah ka AAM .

SHAAM huaa ta , BAGICHA me chale gaye , wahan PUMP SET chalu karwa ke , Chhota wala CHAUKI par prem se baith ke ek DUM Thanda Thanda PANI se , LUX saboon laga ke NAHATE the !

Lautate waqt GAON me hi Kisi BABA / CHACHA / BHAIYA ke "DALAAN" me ruk gaye aur wahan thoda gupp shup kiye ! Feer darwaja par laut ke DUAAR par KHATIYA lagwa ke RADIO chalu kar diye , 7.30 PM me PRADESHIK SAMACHAR aata hai ! Samachar waigarah sun ke , aaram se BHAI log se saath "29" khelane baith gaye ! "29" bhi gajab ka GAME hai !

Garmee ke DIN me , Khoob Teeta MEAT BHAAT khane ka bhi alag AANAND hai ! Jhar Jhar Paseena chu raha ho aur aap CHUSTA ko Khinch ke kha rahe hon :) ( Sorry for VEGGIE )

Raat hone par , DUAAR par KHATIYA Laga ke SONE ka AANAND ! wah ! Pura DUAAR par ek taraf se Chacha / Bhai log ka KHATIYA laga hota tha ! Jo jitana ADVANCE , oosaka DAREE aur JAJIM aur MASNAD ootana hi SAFED ! Lekin the to sabhi bhai so BARABARI me sabhi sote the ! MAUGAA type Bhaiya / Chacha type ITEM log AANGAN me sota tha ;)

Agar GAON ke SCHOOL me KOI BARAT tika huaa hai to raat me sabhi bhai log HUM LOG "NAACH" dekhane nikal jaate the ! Lekin hamesha Darr hota tha ki Koi PAHCHAN na le ! Agar Chacha se Kah diya to , Kya Hoga ?

HUM log "CHHAPARA" Zila wale bahut DHANIK nahi hote hain ! DIN me KAMAYA , RAAT me Khaya aur PREM se SOYA ! Waisa bhi Bhaiya / Chacha log hota tha jo BAGAL ke TOWN me Naukari karata tha , so agar woh wek end me Lauta to LITCHI lekar aata tha ! :)

Kabhi kabhi Mood karata hai ki Apane BETA -BETI ke saath kuchh DIN GAON me rahun ! Shayad woh log apani Sanskriti se kuchh parichay kar len ! NASEEB me likha hoga to PAISA aa hi jayega , Lekin yeh BACHPAN dubara nahi aayega !

aur kya likhen ?? GHAR ka Bahut yaad aa raha hai :(

9 टिप्‍पणियां:

Unknown ने कहा…

MUKHIYAJEE,
REALLY AAPKE MUKH SE NIKLI BAAT MAIN MAZA,MAAZA AUR MAZA..K HAI.
"AARE KUTUMMA AILAO HAN PUCHHI JARI AAMMA AR KHAITAON KI"
"MMALDAH,SHIPIA,KELAWA,BOMBAIYA, SINDURIA,LANGARIA,GULIA....

बेनामी ने कहा…

Bohut achcha sab bihari ke dil ki baat hai. prantu kya kare. kamai ke liye ghar bar chhora to na ghar ke na ghat ke.bas purani baat yaad kar ker aur mukhyia jee ki kahani sun ke hi santosh hai. aam choosne aur lichi khane ka maza aa gaya pardes me

बेनामी ने कहा…

Bahut badhiya Mukhiya jee. Hum raura ke dekhale rahin jaab raura gaon me rahat rahani taab. Ek tho Situha bhee raura rakhale rahani, tikora aam chheel ke onahi khaye khatir. Aur jaab raura Duphariya me sutala ke baad 4 baaje oothat rahin taa Saatu khaat rahani :). Saath me tikora aam nimak ke saath.

Raur Sarvesh Upadhyay
Dihari waali abhi Bangalore me

बेनामी ने कहा…

Mukhia Jee ,

Bahut he personal likhe hai .. Thoda general content lekeheye ...
mana ke ye Blog likh rahe hai jo ke ek e-diary hai . Per this is much more . we want to see you an e-journelish ...

Thanks
Amit

बेनामी ने कहा…

Hello. This post is likeable, and your blog is very interesting, congratulations :-). I will add in my blogroll =). If possible gives a last there on my blog, it is about the TV de LCD, I hope you enjoy. The address is http://tv-lcd.blogspot.com. A hug.

Sachin Dev ने कहा…

बहुत बढ़िया, ऐसा लगा अपनी ही कहानी पढ़ रहे हैं. लिखते रहिये.

Arvind ने कहा…

Mukhiajee bahute uttam likhe hain.Bachpan Ka din yaad aa gaya.Woh bhi kya din the.Paisa ke alawa bhi jan manoos ka apas me rishta tha. Aur han.. Malai Baraf ko mention karna shayad bhool gaye.
Ab to bas..... Koi lauta de mere beete hue din....

बेनामी ने कहा…

बहुत बढ़िया....... ऐसा लग रहा था कि बस कुछ दिन पहले की ही तो बात है,

--
Sent on a phone using T9space.com

बेनामी ने कहा…

aanand aa gail raur blog padh ke...hamaniyon ke garmi ke chutti mein aise hi maza karat rahni...aam choora 10-11 baje kha ke shaam tak ke chutti...dopahriya mein bel ke sharbat..aur 7:30 baje ke pradeshik samachar ke saath raat ke khana hot rahe...raati mein chat pe chadar bichat rahe humni ke...aisan laagal padh ke ki hum aapan bachpan phir se dekh aini...aisie hi likhat rahi..!!